Saturday, October 5, 2013

MATA SHAILPUTRI (माता शैलपुत्री )




MATA SHAILPUTRI

Ma Shailputri Ma Durga ka pehla svaroop hain.Navratri poojan ke pehle din Mata Shailputri ki Pooja ki jati hai. Ma Shailputri Himalya raj ki putri hain. Apne poorv janam me yeh raja daksh ki putri Sati thi. Bhagwaan SHIV se vivah ke pashchaat inko Mata PARVATI ke naam se bhi jaana gya.

Mata Shailputri ki vandana is mantra se ki jaati hai:

Vande Vaadidra Chhatalaabhaaya Chandrardh Kritshekhraam
Vrisharudhaam Shooldharaam Shaiputri Yashsvineem.

Pehle navratri ko kalsh sthapit ker ke maa ki aradhna nad pooja ki jaati hai.

Vrishabh inka ka vahan hai, unke dayen hath me Trishul aur Kamal ka phool bayen hath me hai. Navratra ke is pehle din ki pooja upasna me Yogi jan apne man ko ‘Mooladhar’ chakr me sathit kerte hain aur unki yog sadhna prarambh yahi se hota hai.



माता शैलपुत्री

माँ शैलपुत्री माता  दुर्गा का पहला स्वरूप हैं । नवरात्री  पूजन  के  पहले  दिन  माता  शैलपुत्री  की  पूजा  की  जाती  है | माँ  शैलपुत्री  हिमालय  राज  की  पुत्री  हैं | अपने  पूर्व  जनम  में  यह  रजा  दक्ष  की पुत्री  सटी  थी | भगवान्  शिव  से  विवाह  के  पश्चात  इनको  माता  पारवती  के  नाम  से  भी  जाना  गया |

माता  शैलपुत्री  की  वंदना  इस  मंत्र  से  की  जाती  है :

वंदे वाद्द्रिछतलाभाय चंद्रार्धकृतशेखराम |
वृषारूढां शूलधरां शैलपुत्री यशस्विनीम्‌
----------------------------------------

पहले  नवरात्री  को  कलश  स्थापित  कर   के  माँ  की  आराधना  और  पूजा  कि  जाती  है |

वृषभ  इनका  का  वहां  है , उनके  दायें  हाथ  में  त्रिशूल  और  कमल  का  फूल  बाएं  हाथ  में  है | नवरात्र  के  इस  पहले  दिन  की  पूजा  उपासना  में  योगी  जन  अपने  मन  को  ‘मूलाधार’ चक्र  में  स्थित  करते  हैं  और  उनकी  योग  साधना  प्रारंभ  यही  से  होता  है |


No comments:

Post a Comment